Ahmad Faraz Urdu Ghazal - Sab Khwab Musalsal Nahin Hote

Get The Best Ahmad Faraz Urdu Ghazal Image


Get The Best Ahmad Faraz Urdu Ghazal Image 2023

The Best Ahmad Faraz Urdu Ghazal In Roman Urdu

Aisa Hai K Sab Khwab Musalsal Nahin Hote
Jo Aaj To Hote Hain Magar Kal Nahin Hote,

Andar Ki Fazaon K Karishme Bhi Ajab Hain
Menah Toot K Barse Bhi To Badal Nahin Hote,

Kuch Mushkilen Aisi Hain K Aasan Nahin Hotin,
Kuch Aise Muamme Hain Kabhi Hal Nahin Hote,

Shaistagi-e-Gham K Sabab Aankhon K Sehra
Namnak To Ho Jaate Hain Jal Thal Nahin Hote,

Kaisy Hi Talatum Hon Magar Qulzum-e-Jaan Mein
Kuch Yaad Jazire Hain K Ojhal Nahin Hote,

Ushaaq K Manind Kai Ahl-e-Havas Bhi
Pagal To Nazar Aate Hain Pagal Nahin Hote,

Sab Khwahishen Pori Hon FARAZ Aisa Nahin Hai
Jaise Kai Ashaar Mukammal Nahin Hote.


Post a Comment (0)
Previous Post Next Post